Kabhi kaha tha tumne
Bas ankhon mein dekh kar maang lena
Aaj maangne aayi hun
Bahut din ho gaye ankhon ne khwab nahi dekhe
Ek raat hi sahi, do ghoont neend la do
Muskura kar milti hun duniya se jab
Harf khali se lagte hain khud ki aawaaz mein
Inmen thoda sa wazan mayassar kara do
Bewajah tumhari galiyon se aksar guzarti hun
Manzilein na sahi to kuch thokren la do
Zindagi tumhare bagair bhi ba-dastoor chal rahi hai
Ise jeene ki thodi si bas aarzoo la do
Wo kinaare wali dukaan par gayi thi main
Mere gulaab-jamunon ki mithaas la do
Riwayaton ko nibhane ka lahja abhi bhi aata hai magar
Raqs mein mere sifar zaahir hai,
phir wahi vasl la do, wahi noor muhayya kara do
Jidhar bhi nazar pade, lagta hai tumhari nazar se takra jaati hai
Is baar tumhaari ankhon mein dekhun to
Saari maangein sun lena
Nahi kuch aur de sakte ho, To kewal justajoo de do
Dur rahne ke liye bhi zinda rahna zaruuri hai!!