toh keh dungi koii khas nahin.
Dost jaisa hai par dost nahin.
Milta toh hai par roz nahin.
Ek chehra dekha dekha hai,
par iss bheed main mujhe pehchaan nahin.
koii pooche mujhse kaun ho tum,
toh keh dungi koii khas nahin.
Mera gum yun hi baant leta hai,
par apna gum batlata nahin.
Har jhonke main chupa deta hai hansi,
par uss khushi ka usey ehsaas nahin.
koii pooche mujhse kaun ho tum,
toh kehdungi koii khas nahin.
Ek jhoot hai thoda sachaa sa.
Kabhi samajhdar toh kabhi bachaa sa.
Subah ki tarah khila khila,
wo subah jiski koii shaam nahin.
Koii pooche mujhse kaun ho tum,
toh kehdungi koii khaas nahin.
Ek ajnabi jo mujh jaisa hai,
Bin bole baat keh jata hai.
Yun baatien toh roz hoti hain,
par kehne ko wo paas nahin.
Koii pooche mujhse kaun ho tum,
toh keh dungi koii khaas nahin.
Great read Shubhra!!!
ReplyDelete