Wednesday, January 30, 2013

Duvidha

Aaj ye duvidha hai mann mein..
Kya lad jaun ya kshama karun..
Jab apne hi hon kurukshetra mein,
Arjun soche main kya karun..

Jinse mera astitva bana,
Jinhe kaandhon par khilaya hai..
Jinke charnon ko sparsh kiya,
Jinhen jhuule mein jhulaya hai..

Aaj unse hi matbhed hue

Shabdon se baan nikalte hain
Jab seene ke bheetar chubhte hain
Aankhen jo band na hoti hain,
Jab ashkon mein armaan girte hain


Bachpan se maine seekha hai
Sach ko jeevan mein apnana

Jab saach ki rah mein apne hon
Unpar kaise main waar karun?
Ye dariya kaisa mushkil hai
Ruk jaun ya main paar karun?



1 comment: