Friday, May 15, 2009

Ek waqeya zara sa..

Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa

Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa

Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa

Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa

No comments:

Post a Comment