Wednesday, May 20, 2009

Bahut Khubsoorat magar saanwli si...

Kahin ek masoom, nazuk si ladki
Bahut khobsoorat magar sanwali si
Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa kar
Kabhi neend main muskurati to ho gi..

Usi neend main karwaten badal kar
Sirhanay se takiya girati to ho gi.

Wohi khawab din ki khamoshi main aa kar
Usay man hee man lubhatay to hongay
Kaii saaz seenay ke, khamoshion main
Meri yaad se jhan jhanatay to hongay..

Woh besakhta dheemay dheemay suron main
Meri dhun main kuch gun gunati to ho gi
Mujhay khat likhnay wo bathi to hogi
Mager ungliyan kapkapati to hon gi...
Qalam haath se choot jata jo ho ga
woh qalam phir say uthati to ho gi..

Mera naam apni kitabon pe likh ker
Woh Danton main ungli dabati to ho gi...
Zuban se kabhi uff nikalti to ho gi
Badan dheemay dheemay sulagta to ho ga
Kahiin k kahiin paon partay to hongay
Zameen pe dupatta larakta to ho ga
Kabhi subah ko shaam kehti ho gi
Kabhi raat ko din banati to ho gi...

Kahin ek masoom, nazuk si ladki
Bohat khoobsorat magar sanwali si

No comments:

Post a Comment