Saturday, March 7, 2009

Ye tumhare gam ke chiraag hain..

Kabhi aah lab pe machal gai,
kabhi ashq aankh se dhal gae…
Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

Main kheyaalon khwaabki mehefilen
na bakadr-e-shauk saja saka
Teri ek nazar k sath hee,
mere sabar k raat badal gae…

Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

kabhi rang mein, kabhi roop mein
kabhi chaaw mein, kabhi dhoop mein
kahin aaftab-e-nazar hai who,
kabhi mehetaab me dhal gae…

Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

Jo faanah hue gum-e-ishq mein,
unhe zindgi ka na gum hua
Jo na apni aag me jal sake
wo parai mein aaj jal gae…

Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

Tha unhe bhi meri tarha junoon
to phir unme mujhme ye farq kyu
Main girift-e-gum se na bach saka,
who gudud-e-gum se nikal gae…

Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

Kabhi aah lab pe machal gai,
kabhi ashq aankh se dhal gae…

Ye tumhare gum k charag hain,
kabhi bujh gae kabhi jal gae…

No comments:

Post a Comment